सीएम का राजधानी से बाहर निकलना मुश्किल कर दो: मुरलीधर पाटीदार का आह्वान

shailendra gupta
भोपाल। चंद ही घंटों में आए संगठन के जबर्दस्त दबाव के चलते अंतत: अध्यापक संयुक्त मोर्चा के प्रांताध्यक्ष मुरलीधर पाटीदार ने हड़ताल को तेज कर देने का निर्णय लिया है। उन्होंने आह्वान किया है कि अब यह आंदोलन शिवराज सरकार के खिलाफ खड़ा कर दें एवं जहां जहां सीएम जाएं जबर्दस्त विरोध प्रदर्शन किया जाए।

अध्यापक संयुक्त मोर्चा के प्रांताध्यक्ष ने आज अपनी फेसबुक वॉल पर जो पोस्ट अपडेट की है उसमें उन्होंने स्पष्ट शब्दों में कहा है कि कोई भी प्रतिनिधि मंडल किसी तरह का निर्णय नहीं लेगा। हर निर्णय में जिला स्तर तक मशवरा किया जाएगा। सभी की सहमति से निर्णय लिए जाएंगे। इसके साथ ही उन्होंने आंदोलन को धारदार बनाने का आह्वान किया। हम यहां श्री पाटीदार द्वारा पोस्ट किया गया स्टेटमेंट स:शब्द प्रकाशित कर रहे हैं, आप भी पढ़िए क्या कुछ लिखा है उन्होंने अपने आंदोलनकारी साथियों के लिए:—


Sathiyon,
Aaj govt ne committee ka sujave diya aur aagraha kiya ki committee ke sujao par amal hoga - jisko hamane ek sire se Nakaar diya hai, govt ko jo bhee karana hai, woh hadtal ke chalate hi kaen, hamari hadtal khatma nahi hogee jab tab tak ki hamari mange puri nahi ho jati.

Aaj maine ek sabhee logon ko apna Aanshan khatma karne ka aagraha kiya tha, lekin unhone esse nakar diya ki jab tak aap anshan par hai tab tak hum anshan nahi todenge.

Isliye maine Nirnya liya hai ki Kal Main Sarkari school ke bachhe ke Hathon se Anshan todunga. Aur sare pradesh ke Sathi jo Anshan par hai ,unka Anshan bhee Sarkari school Ke bachhon ke Hathon se apna anshan khatm kar, Pratigya karen ki ab iss gungi bahari sarkar se hum, apni puri urja ke sath ladenge.

Hum pratigya leten hai ki ab hum apni puri Urja ke Saath Dharana Aandolan /Pradarshan karenge jab tak ki hamari mange puri nahee ho jati.

Koi bhee sathi afwahon par dyan na deven, jo bhee decision honge, un sbhee bade decision main aapka Mat liya jayega.

Chahe sarkar sare sathiyon ko suspend kar de lekin hadtal khatm nahi hogi.

Sare pradarshan BJP ke khilaf ho, Jahan bjp ke neta mile unka gherav kiya jave.

CM ke pradesh main jahan bhee programme hon, apna pradarshan jarur kare.

Ab hamen apni puri eechha shakti ke sath hamare aandolan ko aage badana hai.

Jin sathiyon ne mere sath anshan kiya hai unka main shrukragujar hun jinhone itna
tyag kiya.

Yeh hamari anteem ladaee honi chahiye.

Hadtal Jaari Rahegi- Hadtal Jaari Rahegi -Hadtal Jaari Rahegi

Murlidhar Patidar
facebook.com/murlidhar.patidar

#buttons=(Ok, Go it!) #days=(20)

Our website uses cookies to enhance your experience. Check Now
Ok, Go it!